Monday, June 22, 2009

" KUCH YADEIN "... MERI APNI

yadein... ye yadien .... teri yadein.....

kisi kone se kabhi,
chali ati hai yahi !
hasa jati hai kabhi ,
gam de jati hai kayi ! ....

dhimi si hasi , kabi hoto pe khichi ,
palko k tale , de jati hai nami !
1 halka sa dhua , uthta hai kahi ,
bate wo teri , de jati hai gami !

kahi sholo si kabhi ,kabhi barish si giri !
kahi olo si kabhi ,kabhi os si chhani ! ...
ankho k darmia , 1 rishta tha juda ,
dil to mil gaye par dhadkan ki kami !

1 anjana kafila , yado mein basa ,
ankho mein nami , par pyasi si zami ! ....
komal phulo si kahi ,kabhi kanto ki zami ,
hai ekdum juda-juda ,par aapas mein rami !....

yado k fer mein , khwab adhbuna ,
tu samne kahi , par baho ki kami !
kabhi dhyan se suna , kabhi kar dia ansuna ,
meri tadapti ruh , tere hatho mein thami !.....

" KABHI GEET KABHI GAZAL "

kabhi hoto par hasi bankar ,
kabhi ankho k ansuo se chalak ate ho !
kabhi nain-pyalo mein mey se ,
kabhi leher-e-samandar se umad ate ho !

kabhi aasma ki uchaiyo se ,
kabhi dil ki gehraio mein utar ate ho !
kabhi din ko ujalo mein chhao se .
kabhi rato mein chand se bikhar jate ho !

kabhi naino mein tasveer se ,
kabhi kano mein mishri se ghul jate ho !
kabhi sanso mein sameer se ,
kabhi os k pushpo se dhul jate ho !

kabhi naino ko dur se ,
kabhi dil k karib chale ate ho !
kabhi banakar ratbhar ulluo se ,
kabih khwab haseen kar chale jate ho !

kabhi sardi ki dhimi aanch se ,
kabhi rat k chand se chale ate ho !
kabhi likhne chale jo geet hum ,
kabhi fir gazal se chale ate ho ! .........

ANUJ KUMAR SONI

Sunday, June 21, 2009

“ SHAYAR KI GAZAL “ ...


Ik chand hai falak pe...
Dil uspe a gaya hai !
Mera nahi hai sabka..
Wo muskura gaya hai !!

Ik chand hai zameen pe...
Dil uspe a gaya hai !
Mera hi hai wo mera...
Wo mujhme sama gaya hai !!

Koi geet ya fir gazal...
Sab kam hai jo mein kehdu !
Har alfaz mein samai...
Jo alfaz mein dil se kehdo !!

Chandni deta wo chanda...
Moti-mala si bikhar jati !
Wahi sheetalta milti mujko...
Jab wo baho mein sama jati !!

Kajrari rat se ye naina...
Palko me mein basal u !
Galo pe dhalti sham...
Hoton se mein chura lu !!

Hoton ko jo mein uske...
Jaam labo se mein chhu lu !
Peeta rahu mein har su...
Khudko uske nashe mein duba lu !!
Kehta rahu mein yu hi...
Khud ko syahi mein duba lu !
Koi keh de mujhe jo shayar...
Gazal usko apni bana lu !!!

ANUJ KUMAR SONI

" IK KARZ..."

Zindgi ki tanhaio ne itna ruswa kia hai..
ki ab moat k farishte b apne se lagne lagte hai...!!
jindgi ki parchaio ne itne dhoke diye hai...
ki moat k saye haskar lipatne lagte hai...!!!

dil me ik dard sa thehra rehta hai..
ankho mein samandar sa nazara hota hai...!!
har tasveer dhundli si lagne lagti hai...
palko par sawan ka basera hota hai...!!!

dil me umad rahe saikdo tufaa..n hai...
hoto par hansi rakhni padti hai...!!
rishto k jazbat dafn hai dil mein...
dosti fir b rakhni padti hai...!!!

behosh se rehte hai uski yado mein...
sans khud-ba-khud bikharne lagti hai...!!
thokar khaye huye hai pyar mein...
par roz kayi thokar lagne lagti hai...!!!

ghaw diye hai usne, dikhte to ni...
fir b chupane chupane padte hai...!!
karz liye hai dil par, chhadte to ni...
par fir b chukane padte hai...!!!

ANUJ KUMAR SONI